Posts

Khali shise bhi nisan rakhte hai

Khali shise bhi nisan rakhte hai Tute dil bhi arman rakhte hai Jo khamosi se guzar jata hai Wo dariya bhi dil mein tufan rakhta hai

Kareeb koi gum aap ke aaye na

Kareeb koi gum aap ke aaye na Waqt kabhi aap ko rulaye na Bhara rahe khusiyon se daaman aap ka  Khuda ye meri aarzoo kabhi thukraye na

Mustakil is jahan main tum bhi nahi

Mustakil is jahan main tum bhi nahi Mustakil is jahan main hum bhi nahi Na musarrat hi mustakil hai yahan Mustakil is jahan main gum bhi nahi 

Kismat par etbar kisko hai

Kismat par etbar kisko hai Mil jaye khusi inkar kisko hai Kuch majbooriya hai mere dost Warna judai se pyar kisko hai

Dukh ke din ab chale gaye hai

Dukh ke din ab chale gaye hai Khusiya aayi hai tere darwaje par Lekin dukh ke din bhul na jana Har galti sikhayegi kathin samay aane par

Mushkilen dil ke irade aazmayengi

Mushkilen dil ke irade aazmayengi Khwabon ki mushkilen nigaho se hatayengi Gir kar hausala mat haarna o yaar Ye thokrein hi tujhe chalna sikhayengi

Sameto sitaro ko hatho mein apne

Sameto sitaro ko hatho mein apne Bahut door tak raat hi raat hogi Musafir hai hum bhi musafir ho tum bhi kahin na kahin mulaqat hogi