Posts

Showing posts from May, 2013

Kismat ke hatho wo hi majbur hota hai

Kismat ke hatho wo hi majbur hota hai jo haqiqat se bahut dur hota hai aksar saza milti hai unko jo har taraf se bekasoor hota hai

Wo maut bhi badi suhani hogi

Wo maut bhi badi suhani hogi jo aap ki dosti me aani hogi wada raha aap se pahale hum jayenge kyu ki aap ke liya jannat bhi to sajani hogi

Khuda ne kaha aapne gamo ki yu numaish na kar

Khuda ne kaha aapne gamo ki yu numaish na kar aapne nasib ki yu aazmaish na kar jo tera hai tere dard par khud aayega  har roz use paane ki khwahish na kar

Khamosh na raho khamoshi saza degi

Khamosh na raho khamoshi saza degi muskurahat har saza ko mita degi kuch pal ji lo meri dosti ke sath kaun jane ye zindagi mujhe kab daga degi

Palko me sapno ko aane do

Palko me sapno ko aane do aapno ke yaad me thoda kho jane do agar hota hai disturb aap ko mere msg se to just chill maro yaad thoda disturb bhi ho jane do

Agar kutton ke tv par ek channel ho to

Agar kutton ke tv par ek channel ho to socho serials ke namm kuch aise honge yaha mai ghar ghar BHONKI kaat khana SATHIYA agle janam mohe KUTIYA hi ki jo main KUTIYA tere aangan ki ye KUTTA kya kahlata hai ek hazaroo me meri KUTTIYA hai afsar KUTIYA is KUTTE ko kya naam du bade KUTTE lagte ho.

Mat muskurao itna ki fulo ko khabar lag jaye

Mat muskurao itna ki fulo ko khabar lag jaye hum kare aap ki tarif aur aap ko nazar lag jaye khuda kare bhahut lambi ho aap ki zindagi aur us par bhi aap ko meri umar lag jaye

Kya Baat Kahiye Duniya Ki

Kya Baat Kahiye Duniya Ki Har Shakhs Ke Apne Afsaane Hain Jo Saamne Hai Usse Log Bura Kehte Hain Jisko Dekha Nahi Kabhi Usse Khuda Kehte Hain

Har dil aap ko chahne wala ho

Har dil aap ko chahne wala ho har dost dosti nibhane wala ho jab bhi aapki aankhon se gire aansu   uthaye wahi jo aap ko sabse jyada satane wala ho

Mai aapne dil ki kahani suna ke aaya hu

Mai aapne dil ki kahani suna ke aaya hu kabhi roya na tha jo usko rula ke aaya hu tamam umar ki jagir jise sajhi thi wahi tasvi sareaam jale aaya hu mujhase kya puchte ho zindagi ke bare me mai zindagi se zindagi bacha ke aaya hu chand taro se ab mera jikkar na karna mai roshni me bhahut kuch gawa kar aaya hu

Mai labjo me kuch bhi izhar nahi karta

Mai labjo me kuch bhi izhar nahi karta iska matlab ye nahi ki mai tujhse pyaar nahi karta chahta hu tujhe aaj bhi par darta hu kahi tamasa na ban jaye kahi mohabat me mera isliye aapne dard ko bhi bayan nahi karta

Khata ho gayi hai to saza suna dena

Khata ho gayi hai to saza suna dena dil me itana dard hai kyu hai wajah bata dena der ho gayi hai yaad karne me jaroor lekin aapko bhula denge ye khyal dil se mita dena

Tute hue paimane se kabhi jaam nahi aata

Tute hue paimane se kabhi jaam nahi aata ishq ke marijo ko kabhi aaram nahi aata dil todne wale tune ye nahi socha ki tuta hua dil kisi ke kam nahi aata

Bikhare ashkon ke moti bana na sake

Bikhare ashkon ke moti bana na sake teri yaad me sari raat so na sake  bheeg na jaye aansu se tsvir teri  bas yahi soch kar hum ro na sake

Zuban khamos aankhon me nami hogi

Zuban khamos aankhon me nami hogi yhi bas ek dastan-e-zindagi hogi bharne ko to har zakham bhar jayege kaise bharegi wo jagah jaha teri kami hogi  

Kab tak intezar karu tere pyaar me

Kab tak intezar karu tere pyaar me is dil ko kitna karu bekrar mai aakar sine se laga le mujhe kahi jaan na nikle tere pyaar me

Hamari dasta use kaha kabool thi

Hamari dasta use kaha kabool thi meri wafa uske liye fizool thi koi aas nahi lekin koi itna bata de maine use chaha kya ye meri bhul thi

Sare dost ek jaise nahi hote

Sare dost ek jaise nahi hote kuch hamare hokar bhi hamare nahi hote aap se dosti karne ke bad mahsus hua kaun kahata hai jamin par sitare nahi hote

Jo cheej maag ke mile wo mannat hai

Jo cheej maag ke mile wo mannat hai chah ke mile wo chaht hai paas hai wo amanat hai dil se mile wo rehmat hai

Bahte aansu ki zuban nahi hoti

Bahte aansu ki zuban nahi hoti  labzo me mohabat bayan nahi hoti  mile jab pyar kisi ka to kadar karna  kyu ki kismat har kisi par meharban nahi hoti

Dil ki bato ko pyar kahte hai

Dil ki bato ko pyar kahte hai  jhuki nigaho ko ikrar kahate hai  kisi ko chahna hi mohabat nahi  kisi ke yaado mai jine ko bhi pyar kahte hai

Aasman se tod kar tara diya hai

Aasman se tod kar tara diya hai aalam-e-tanhai me ek sahara diya hai meri kismat bhi naaz karti hai mujhpe khuda ne dost hi itna pyaara diya hai

Khusi se dil ko aabad karna

Khusi se dil ko aabad karna aur gam ko dil se aabad karna hamari bus itni gujaris hai ki hume bhi din me ek baar yaad karna

Naseeb se fariyad to kar sakte hai

Naseeb se fariyad to kar sakte hai armaano ko sakar to kar sakte hai aap se kabhi mil na sake to kya ek sms dekar aap ko yaad to kar sakte hai

Zkham ban jane ki aadat hai unhe

Zkham ban jane ki aadat hai unhe rula ke muskurane ki aadat hai unhe milenge kabhi to khub rulayenge suna hai rote hua lipat jane ki aadat hai unhe

Chahat par aitbar na raha

Chahat par aitbar na raha khusi kya hai ye ehsas na raha dekha hai in aankhon ne tootte sapano ko isliye ab kisi ka intezar na raha

Chandni raat welcome kar rahi hai

Chandni raat welcome kar rahi hai ek thandi si hawa dastak de rahi hai utha kar dekho nazar ko jara ek pyaari si raat aapko good night kah rahi hai

Dosti se dur hona majburi hoti hai

Dosti se dur hona majburi hoti hai hakikat ki duniya bhi jaruri hoti hai kaun si hasrat hai jo sapno se puri hoti hai dost na ho to har khusi adhuri hoti hai

Nikalte hai aansu jab mulakat nahi hoti

Nikalte hai aansu jab mulakat nahi hoti toot jata hai dil jab bat nahi hoti teri jaan ki kasam  tu yaad na aaye aisi koi rat nahi hoti

Mili hai bahut saza unse dil lagane ki

Mili hai bahut saza unse dil lagane ki nazar lag gayi hamare pyaar ko zamane ki  kafan se nikle hua dono hath kehate hai aarzu rah gayi unko gale lagane ki  

Salon bad na jane kya sama hoga

Salon bad na jane kya sama hoga hum sab dosto me se na jane kaun kaha hoga fir milna hua to milenge khawabo me jaise shukhe hua gulab milte hai kitabo me